روز اک خواب مسلسل اور میں
Raeesuddin Raees (b. 1948)روز اک خواب مسلسل اور میں
رات بھر یادوں کا جنگل اور میں
ہاتھ کوئی بھی سہارے کو نہیں
پاؤں کے نیچے ہے دلدل اور میں
سوچتا ہوں شب گزاروں اب کہاں
گھر کا دروازہ مقفل اور میں
ہر قدم تاریکیاں ہیں ہم رکاب
اب کوئی جگنو نہ مشعل اور میں
ہے ہر اک پل خوف رقصاں موت کا
چار سو ہے شور مقتل اور میں
شعر کہنا اب رئیسؔ آساں نہیں
سامنے اک چہرہ مہمل اور میں
roz ik khwab-e-musalsal aur main
rat bhar yadon ka jangal aur main
hath koi bhi sahare ko nahin
paon ke niche hai daldal aur main
sochta hun shab guzarun ab kahan
ghar ka darwaza muqaffal aur main
har qadam tarikiyan hain ham rikab
ab koi jugnu na mashal aur main
hai har ik pal khauf raqsan maut ka
char su hai shor-e-maqtal aur main
sher kahna ab rais asan nahin
samne ik chehra mohmal aur main