مہ و انجم نے قبا کی تو تمہارے لیے کی
Tahseen Firaqi (b. 1950)مہ و انجم نے قبا کی تو تمہارے لیے کی
چاند چہروں پہ ردا کی تو تمہارے لیے کی
وہ بھی تھا موج میں یہ دل بھی بہکنے ہی کو تھا
اپنے ہاتھوں نے حیا کی تو تمہارے لیے کی
کوہ و صحرا میں بھٹکتے سر ساحل پھرتے
میں نے ہر گام صدا کی تو تمہارے لیے کی
دل کے اس تپتے ہوئے تند بیاباں کے بیچ
میں نے اک نہر بنا کی تو تمہارے لیے کی
مجھ سے تھا بر سر کیں ربط نہاں تم سے تھا
دل نے گر تم سے وفا کی تو تمہارے لیے کی
رات مواج تھی جب ہاتھ اٹھے اس کے حضور
سب سے پہلے جو دعا کی تو تمہارے لیے کی
میں کہاں اور کہاں شاعری میں نے تو فقط
مجلس شعر بپا کی تو تمہارے لیے کی
mah-o-anjum ne qaba ki to tumhare liye ki
chand chehron pe rida ki to tumhare liye ki
wo bhi tha mauj mein ye dil bhi bahakne hi ko tha
apne hathon ne haya ki to tumhare liye ki
koh-o-sahra mein bhatakte sar-e-sahil phirte
main ne har gam sada ki to tumhare liye ki
dil ke is tapte hue tund bayaban ke bich
main ne ik nahr bana ki to tumhare liye ki
mujh se tha bar sar-e-kin rabt-e-nihan tum se tha
dil ne gar tum se wafa ki to tumhare liye ki
rat mawwaj thi jab hath uthe us ke huzur
sab se pahle jo dua ki to tumhare liye ki
main kahan aur kahan shayari main ne to faqat
majlis-e-sher bapa ki to tumhare liye ki