محبت کا جہاں ہے اور میں ہوں
Qamar Moradabadi (1910–1987)محبت کا جہاں ہے اور میں ہوں
مرا دار الاماں ہے اور میں ہوں
حیات غم نشاں ہے اور میں ہوں
مسلسل امتحاں ہے اور میں ہوں
نگاہ شوق ہے اور ان کے جلوے
شکست ناگہاں ہے اور میں ہوں
اسی کا نام ہو شاید محبت
کوئی بار گراں ہے اور میں ہوں
محبت بے سہارا تو نہیں ہے
مرا درد نہاں ہے اور میں ہوں
محبت کے فسانے اللہ اللہ
زمانے کی زباں ہے اور میں ہوں
قمرؔ تقلید کا قائل نہیں میں
مرا طرز بیاں ہے اور میں ہوں
mohabbat ka jahan hai aur main hun
mira dar alaman hai aur main hun
hayat-e-gham nishan hai aur main hun
musalsal imtihan hai aur main hun
nigah-e-shauq hai aur un ke jalwe
shikast-e-nagahan hai aur main hun
usi ka nam ho shayad mohabbat
koi bar-e-giran hai aur main hun
mohabbat be sahara to nahin hai
mira dard-e-nihan hai aur main hun
mohabbat ke fasane allah allah
zamane ki zaban hai aur main hun
qamar taqlid ka qail nahin main
mira tarz-e-bayan hai aur main hun