بے نقاب ان کی جفاؤں کو کیا ہے میں نے
Qamar Moradabadi (1910–1987)بے نقاب ان کی جفاؤں کو کیا ہے میں نے
وقت کے ہاتھ میں آئینہ دیا ہے میں نے
خون خود شوق و تمنا کا کیا ہے میں نے
اپنی تصویر کو اک رنگ دیا ہے میں نے
یہ تو سچ ہے کہ نہیں اپنے گریباں کی خبر
تیرا دامن تو کئی بار سیا ہے میں نے
رسن و دار کی تقدیر جگا دی جس نے
تیری دنیا میں وہ اعلان کیا ہے میں نے
حرف آنے نہ دیا عشق کی خودداری پر
کام ناکام تمنا سے لیا ہے میں نے
جب کبھی ان کی جفاؤں کی شکایت کی ہے
تجزیہ اپنی وفا کا بھی کیا ہے میں نے
مدتوں بعد جو اس راہ سے گزرا ہوں قمرؔ
عہد رفتہ کو بہت یاد کیا ہے میں نے
be naqab un ki jafaon ko kya hai main ne
waqt ke hath mein aina diya hai main ne
khun khud shauq-o-tamanna ka kya hai main ne
apni taswir ko ik rang diya hai main ne
ye to sach hai ke nahin apne gareban ki khabar
tera daman to kai bar siya hai main ne
rasan-o-dar ki taqdir jaga di jis ne
teri duniya mein wo elan kya hai main ne
harf ane na diya ishq ki khuddari par
kam nakam-e-tamanna se liya hai main ne
jab kabhi un ki jafaon ki shikayat ki hai
tajziya apni wafa ka bhi kya hai main ne
muddaton baad jo is rah se guzra hun qamar
ahd-e-rafta ko bahut yad kya hai main ne