وہ گل وہ خوابشار بھی نہیں رہا
Idris Babar (b. 1973)وہ گل وہ خوابشار بھی نہیں رہا
سو دل یہ خاکسار بھی نہیں رہا
یہ دل تو اس کے نام کا پڑاؤ ہے
جہاں وہ ایک بار بھی نہیں رہا
پڑا ہے خود سے واسطہ اور اس کے بعد
کسی کا اعتبار بھی نہیں رہا
یہ رنج اپنی اصل شکل میں ہے دوست
کہ میں اسے سنوار بھی نہیں رہا
یہ وقت بھی گزر نہیں رہا ہے اور
میں خود اسے گزار بھی نہیں رہا
wo gul wo khwabshar bhi nahin raha
so dil ye khaksar bhi nahin raha
ye dil to us ke nam ka parao hai
jahan wo ek bar bhi nahin raha
para hai khud se wasta aur is ke baad
kisi ka etibar bhi nahin raha
ye ranj apni asl shakl mein hai dost
ke main use sanwar bhi nahin raha
ye waqt bhi guzar nahin raha hai aur
main khud use guzar bhi nahin raha