رستہ بھی کٹھن دھوپ میں شدت بھی بہت تھی
Parveen Shakir (1952–1994)رستہ بھی کٹھن دھوپ میں شدت بھی بہت تھی
سائے سے مگر اس کو محبت بھی بہت تھی
خیمے نہ کوئی میرے مسافر کے جلائے
زخمی تھا بہت پاؤں مسافت بھی بہت تھی
سب دوست مرے منتظر پردۂ شب تھے
دن میں تو سفر کرنے میں دقت بھی بہت تھی
بارش کی دعاؤں میں نمی آنکھ کی مل جائے
جذبے کی کبھی اتنی رفاقت بھی بہت تھی
کچھ تو ترے موسم ہی مجھے راس کم آئے
اور کچھ مری مٹی میں بغاوت بھی بہت تھی
پھولوں کا بکھرنا تو مقدر ہی تھا لیکن
کچھ اس میں ہواؤں کی سیاست بھی بہت تھی
وہ بھی سر مقتل ہے کہ سچ جس کا تھا شاہد
اور واقف احوال عدالت بھی بہت تھی
اس ترک رفاقت پہ پریشاں تو ہوں لیکن
اب تک کے ترے ساتھ پہ حیرت بھی بہت تھی
خوش آئے تجھے شہر منافق کی امیری
ہم لوگوں کو سچ کہنے کی عادت بھی بہت تھی
rasta bhi kathin dhup mein shiddat bhi bahut thi
sae se magar us ko mohabbat bhi bahut thi
kheme na koi mere musafir ke jalae
zakhmi tha bahut paon masafat bhi bahut thi
sab dost mire muntazir-e-parda-e-shab the
din mein to safar karne mein diqqat bhi bahut thi
barish ki duaon mein nami ankh ki mil jae
jazbe ki kabhi itni rifaqat bhi bahut thi
kuchh to tire mausam hi mujhe ras kam ae
aur kuchh miri mitti mein baghawat bhi bahut thi
phulon ka bikharna to muqaddar hi tha lekin
kuchh is mein hawaon ki siyasat bhi bahut thi
wo bhi sar-e-maqtal hai ke sach jis ka tha shahid
aur waqif ahwal adalat bhi bahut thi
is tark-e-rifaqat pe pareshan to hun lekin
ab tak ke tire sath pe hairat bhi bahut thi
khush ae tujhe shahr munafiq ki amiri
ham logon ko sach kahne ki adat bhi bahut thi