لوگ جو دل فگار ہوتے ہیں
Pandit Vidya Rattan Asi (1938–2019)لوگ جو دل فگار ہوتے ہیں
چلتے پھرتے مزار ہوتے ہیں
جو محبت میں خار ہوتے ہیں
صاحب صد وقار ہوتے ہیں
جن کے دامن میں خار ہوتے ہیں
قدردان بہار ہوتے ہیں
جو محبت شعار ہوتے ہیں
سازشوں کا شکار ہوتے ہیں
میری بربادیٔ محبت پر
آپ کیوں شرمسار ہوتے ہیں
ان کے قول و قرار کیا کہئے
صرف قول و قرار ہوتے ہیں
اپنا مطلب نکالنے والے
کس قدر ہوشیار ہوتے ہیں
پرخلوصوں کی پوچھتے کیا ہو
خار ہوتے تھے خار ہوتے ہیں
کیا خبر تھی کہ راہ الفت میں
ہر قدم خار زار ہوتے ہیں
کس توقع پہ لوگ اے عاصیؔ
زندگی پر نثار ہوتے ہیں
log jo dil figar hote hain
chalte phirte mazar hote hain
jo mohabbat mein khar hote hain
sahab-e-sad waqar hote hain
jin ke daman mein khar hote hain
qadardan bahar hote hain
jo mohabbat shiar hote hain
sazishon ka shikar hote hain
meri barbadi-e-mohabbat par
ap kyun sharmsar hote hain
un ke qaul-o-qarar kya kahiye
sirf qaul-o-qarar hote hain
apna matlab nikalne wale
kis qadar hoshyar hote hain
purkhuluson ki puchhte kya ho
khar hote the khar hote hain
kya khabar thi ke rah-e-ulfat mein
har qadam khar zar hote hain
kis tawaqqo pe log ai asi
zindagi par nisar hote hain