کبھی تسکیں کبھی آزار بھی ہے
Pandit Vidya Rattan Asi (1938–2019)کبھی تسکیں کبھی آزار بھی ہے
محبت پھول بھی ہے خار بھی ہے
پگھل جاتی ہے مثل شمع لیکن
محبت آہنی دیوار بھی ہے
ترے ہونٹوں پہ ہے انکار لیکن
تری آنکھوں میں کچھ اقرار بھی ہے
بظاہر ہیں سبھی غم خوار لیکن
حقیقت میں کوئی غم خوار بھی ہے
کبھی ان کی نظر ہے وجہ تسکیں
کبھی چلتی ہوئی تلوار بھی ہے
نہ جا اس پر کہ میں چپ ہوں ستم پر
یہ خاموشی لب گفتار بھی ہے
زمانہ طنز فرما بھی ہے لیکن
الجھنا عشق سے بیکار بھی ہے
فقط گفتار پر نازاں ہے عاصیؔ
خیال خوبیٔ کردار بھی ہے
kabhi taskin kabhi azar bhi hai
mohabbat phul bhi hai khar bhi hai
pighal jati hai misl-e-shama lekin
mohabbat ahani diwar bhi hai
tire honton pe hai inkar lekin
tiri ankhon mein kuchh iqrar bhi hai
bazahir hain sabhi gham khwar lekin
haqiqat mein koi gham khwar bhi hai
kabhi un ki nazar hai wajh-e-taskin
kabhi chalti hui talwar bhi hai
na ja us par ke main chup hun sitam par
ye khamoshi-e-lab guftar bhi hai
zamana tanz farma bhi hai lekin
ulajhna ishq se bekar bhi hai
faqat guftar par nazan hai asi
khayal-e-khubi-e-kirdar bhi hai