دوسرا عشق مری جان نہیں کر سکتا
Aal-e-Umar (b. 1995)دوسرا عشق مری جان نہیں کر سکتا
یہ ترا حافظ قرآن نہیں کر سکتا
ایسی حالت میں ترے خواب سے لوٹا ہے یہ جسم
میں ابھی وصل کا سامان نہیں کر سکتا
دسترس میں ہے مری کیف بھی کیفیت بھی
زخم بھر کر مجھے حیران نہیں کر سکتا
ان پہ غالب ہے کئی چہروں کے اشراک کا دین
تو ان آنکھوں کو مسلمان نہیں کر سکتا
پہلی قسطوں میں تری موت نہیں ہو سکتی
اپنے تھیٹر کو میں ویران نہیں کر سکتا
یہ مرا آخری پتھر ہے تری یاد میں دوست
اب میں پانی کو پریشان نہیں کر سکتا
dusra ishq miri jan nahin kar sakta
ye tira hafiz-e-quran nahin kar sakta
aisi halat mein tire khwab se lauta hai ye jism
main abhi wasl ka saman nahin kar sakta
dastaras mein hai miri kaif bhi kaifiyat bhi
zakhm bhar kar mujhe hairan nahin kar sakta
un pe ghalib hai kai chehron ke ashirik ka din
tu in ankhon ko musalman nahin kar sakta
pahli qiston mein tiri maut nahin ho sakti
apne thetar ko main wiran nahin kar sakta
ye mira akhiri patthar hai tiri yad mein dost
ab main pani ko pareshan nahin kar sakta