زور بازو بھی ہے اور سامنے نخچیر بھی ہے
Kaleem Ahmadabadi (b. 1966)زور بازو بھی ہے اور سامنے نخچیر بھی ہے
دیکھنا یہ ہے کہ ترکش میں کوئی تیر بھی ہے
کس طرح عشق مجازی کو حقیقی کر لوں
سامنے تو ہے بغل میں تری تصویر بھی ہے
کچھ نہیں ہے ترے ہاتھوں میں لکیروں کے سوا
بات ناصح کی ہے لیکن خط تقدیر بھی ہے
چھیڑتی ہے مجھے آ آ کے مری آزادی
گو میں قیدی ہوں مرے پاؤں میں زنجیر بھی ہے
میرے ہونے کا مرے ہوش کو احساس نہیں
ورنہ جو قطرۂ خوں ہے وہ شرر گیر بھی ہے
اہل دل کے لئے آزار ہے دنیا کو مفید
عقل اک ہوش ہے اور ہوش کی تعبیر بھی ہے
کوئی سمجھے کہ نہ سمجھے ترے اشعار کلیمؔ
زور غالبؔ بھی ہے اور دل کشیٔ میرؔ بھی ہے
zor-e-bazu bhi hai aur samne nakhchir bhi hai
dekhna ye hai ke tarkash mein koi tir bhi hai
kis tarah ishq-e-majazi ko haqiqi kar lun
samne to hai baghal mein tiri taswir bhi hai
kuchh nahin hai tire hathon mein lakiron ke siwa
bat naseh ki hai lekin khat-e-taqdir bhi hai
chherti hai mujhe a a ke miri azadi
go main qaidi hun mire paon mein zanjir bhi hai
mere hone ka mire hosh ko ehsas nahin
warna jo qatra-e-khun hai wo sharar gir bhi hai
ahl-e-dil ke liye azar hai duniya ko mufid
aql ik hosh hai aur hosh ki taabir bhi hai
koi samjhe ke na samjhe tire ashar kalim
zor ghalib bhi hai aur dil kashi-e-mir bhi hai