میں اگر دل جلا نہیں ہوتا
Jagjit Kafir (b. 1979)میں اگر دل جلا نہیں ہوتا
شعر کوئی کہا نہیں ہوتا
عظمت عشق ہے کہ جھکتا ہوں
کوئی پیکر خدا نہیں ہوتا
بانس کے شہر میں بسے لوگو
ہر شجر کھوکھلا نہیں ہوتا
بس وہی رات دن کی گردش ہے
اور کچھ بھی نیا نہیں ہوتا
راس آنے لگی ہے فرقت بھی
ان دنوں غم زدہ نہیں ہوتا
اپنی وحشت سے خوف کھاتا ہوں
ضبط ہر مرتبہ نہیں ہوتا
ایک ساگر چھپا ہے آنکھو میں
صرف آنسو چھپا نہیں ہوتا
مسئلہ زندگی کا ہے کافرؔ
موت میں کچھ برا نہیں ہوتا
main agar dil jala nahin hota
sher koi kaha nahin hota
azmat ishq hai ke jhukta hun
koi paikar khuda nahin hota
bans ke shahr mein base logo
har shajar khokhla nahin hota
bas wahi rat din ki gardish hai
aur kuchh bhi naya nahin hota
ras ane lagi hai furqat bhi
in dinon gham zada nahin hota
apni wahshat se khauf khata hun
zabt har martaba nahin hota
ek sagar chhupa hai ankho mein
sirf ansu chhupa nahin hota
masala zindagi ka hai kafir
maut mein kuchh bura nahin hota