یہ زمیں یہ آسماں یہ کہکشاں کچھ بھی نہیں
Jagjit Kafir (b. 1979)یہ زمیں یہ آسماں یہ کہکشاں کچھ بھی نہیں
سب فنا کی قید میں ہیں جاوداں کچھ بھی نہیں
ہے مرے ہی دور افتادہ کسی گوشے میں ہیں
وسعت کونین ہوں میں یہ جہاں کچھ بھی نہیں
میں بڑی مشکل سے سمجھا ہوں قضا کے راز کو
برق رقصاں کے مقابل آشیاں کچھ بھی نہیں
زندگی تخریب اور تعمیر کا ہی کھیل ہے
علم والوں کو جہاں کی گتھیاں کچھ بھی نہیں
اے پرندو ان پروں میں ظرف تو پیدا کرو
حسرت پرواز کو یہ بیڑیاں کچھ بھی نہیں
زہر بھی گر حکمۃً لیں تو دوا بن جائے گا
اس جہاں میں دیکھیے تو رائیگاں کچھ بھی نہیں
یار کی گلیوں میں گھنگھرو باندھ کر بھی ناچ لوں
عشق میں کافرؔ مری خودداریاں کچھ بھی نہیں
ye zamin ye asman ye kahkashan kuchh bhi nahin
sab fana ki qaid mein hain jawedan kuchh bhi nahin
hai mire hi dur uftada kisi goshe mein hain
wusat-e-kaunain hun main ye jahan kuchh bhi nahin
main bari mushkil se samjha hun qaza ke raz ko
barq raqsan ke muqabil ashiyan kuchh bhi nahin
zindagi takhrib aur taamir ka hi khel hai
ilm walon ko jahan ki gutthiyan kuchh bhi nahin
ai parindo in paron mein zarf to paida karo
hasrat-e-parwaz ko ye beriyan kuchh bhi nahin
zahr bhi gar hakmat len to dawa ban jaega
is jahan mein dekhiye to raigan kuchh bhi nahin
yar ki galiyon mein ghunghru bandh kar bhi nach lun
ishq mein kafir miri khuddariyan kuchh bhi nahin