کبھی فراق کبھی لذت وصال میں رکھ
Kabeer Athar (b. 1962)کبھی فراق کبھی لذت وصال میں رکھ
مجھ اعتدال سے عاری کو اعتدال میں رکھ
نچا رہا ہے مجھے انگلیوں پہ عشق ترا
تمام عمر اسی رقص بے مثال میں رکھ
دکھی ہو دل تو اترتی ہے شاعری مجھ پر
تجھے غزل کی قسم ہے مجھے ملال میں رکھ
تو چاہتا ہے اگر کار۔آفتاب کروں
مرا عروج مری ساعت زوال میں رکھ
ترے بغیر گزاری ہے زندگی میں نے
تو اس ستم کی تلافی بھی ماہ و سال میں رکھ
تو دل ہے اور دھڑکنا تری عبادت ہے
سو خود کو جسم سے باہر بھی تو دھمال میں رکھ
شکم سے ہو کے گزرتے ہیں قول و فعل مرے
مجھ ایسے شخص کو نان و نمک کے جال میں رکھ
مرے بدن کو بھلے اس سے آگ لگ جائے
چراغ حرف مگر میرے بال بال میں رکھ
میں اس عذاب کے نشے میں مبتلا ہوں کبیرؔ
پرائی آگ اٹھا کر مری سفال میں رکھ
kabhi firaq kabhi lazzat-e-wisal mein rakh
mujh etidal se ari ko etidal mein rakh
nacha raha hai mujhe ungliyon pe ishq tira
tamam umr isi raqs-e-be misal mein rakh
dukhi ho dil to utarti hai shayari mujh par
tujhe ghazal ki qasam hai mujhe malal mein rakh
tu chahta hai agar kar.aftab karun
mira uruj miri saat-e-zawal mein rakh
tire baghair guzari hai zindagi main ne
to us sitam ki talafi bhi mah-o-sal mein rakh
to dil hai aur dharakna tiri ibadat hai
so khud ko jism se bahar bhi to dhamal mein rakh
shikam se ho ke guzarte hain qaul-o-fel mire
mujh aise shakhs ko nan-o-namak ke jal mein rakh
mire badan ko bhale us se ag lag jae
charagh harf magar mere bal bal mein rakh
main is azab ke nashe mein mubtala hun kabir
parai ag utha kar miri sifal mein rakh