ہر شے جہاں کی گرد و غبار خیال ہے
Jafar Tahir (1917–1977)ہر شے جہاں کی گرد و غبار خیال ہے
آشوب گاہ دہر میں جینا محال ہے
یہ گلشن یقیں بھی بجز وہم کچھ نہیں
عالم جسے کہیں وہ طلسم خیال ہے
نیرنگئی نظر کے سوا اور کچھ نہیں
دود فراق جلوۂ شام وصال ہے
یہ نغمۂ وجود کسی راگنی کی راکھ
اک چیخ ساز عمر ابد کا مآل ہے
ہر موج ہے کہ ہاتھ سے چھٹتی ہوئی عناں
وہ جست و خیز ہے کہ سنبھلنا محال ہے
تپتے دنوں کی آگ میں جینے کی آرزو
شبنم بروئے گل عرق انفعال ہے
تنہائیوں میں بیٹھ کے خود کو شکار کر
یہ دشت دل بھی دشت ختن کی مثال ہے
har shai jahan ki gard-o-ghubar-e-khayal hai
ashob gah-e-dahr mein jina muhal hai
ye gulshan-e-yaqin bhi bajuz wahm kuchh nahin
alam jise kahen wo tilism-e-khayal hai
nernagi nazar ke siwa aur kuchh nahin
dud-e-firaq jalwa-e-sham-e-wisal hai
ye naghma-e-wajud kisi ragni ki rakh
ik chikh saz umr-e-abad ka maal hai
har mauj hai ke hath se chhutti hui inan
wo jast-o-khez hai ke sambhalna muhal hai
tapte dinon ki ag mein jine ki arzu
shabnam baru-e-gul-e-araq infial hai
tanhaiyon mein baith ke khud ko shikar kar
ye dasht-e-dil bhi dasht-e-khutan ki misal hai