ہر رنج قبول کر رہا ہوں
Zafar Hashmi (b. 1945)ہر رنج قبول کر رہا ہوں
زخموں کو میں پھول کر رہا ہوں
اک پل کی یہ زندگی ہے میری
لیکن اسے طول کر رہا ہوں
جس جس کو عطا کیا خدا نے
وہ درد وصول کر رہا ہوں
جو حرف فعل سے روٹھ جائے
اس کو میں فعول کر رہا ہوں
لوہے کی کھڑی ہوئی ہے دیوار
اور میں اسے دھول کر رہا ہوں
پہچان کے اپنے آپ کو بھی
پھر بھی کہیں بھول کر رہا ہوں
اپنوں کے تعلقات سارے
غیروں سے وصول کر رہا ہوں
ہر سمت ہوا چلی کچھ ایسی
شیشم کو ببول کر رہا ہوں
ہر گام پہ ظلمتوں میں رکھ دے
اس کو بھی رسول کر رہا ہوں
میں باد صبا پہ رکھ کے پہرے
کلیوں کو ملول کر رہا ہوں
جس سے ہے سب انتشار برپا
اس کو ہی اصول کر رہا ہوں
حاصل نہ ہو کچھ ظفرؔ مجھے تو
سب کام فضول کر رہا ہوں
har ranj qubul kar raha hun
zakhmon ko main phul kar raha hun
ik pal ki ye zindagi hai meri
lekin use tul kar raha hun
jis jis ko ata kiya khuda ne
wo dard wusul kar raha hun
jo harf fel se ruth jae
us ko main fol kar raha hun
lohe ki khari hui hai diwar
aur main use dhul kar raha hun
pahchan ke apne ap ko bhi
phir bhi kahin bhul kar raha hun
apnon ke taalluqat sare
ghairon se wusul kar raha hun
har samt hawa chali kuchh aisi
shisham ko babul kar raha hun
har gam pe zulmaton mein rakh de
us ko bhi rasul kar raha hun
main bad-e-saba pe rakh ke pahre
kaliyon ko malul kar raha hun
jis se hai sab intishar barpa
us ko hi usul kar raha hun
hasil na ho kuchh zafar mujhe to
sab kam fuzul kar raha hun