تری آواز میں بھی کوئی آوازہ نہیں ہوتا
Iftikhar Qaisar (b. 1937)تری آواز میں بھی کوئی آوازہ نہیں ہوتا
تری باتوں سے اب تو کوئی اندازہ نہیں ہوتا
کبھی بیٹھک تری دوپہر میں آباد رہتی تھی
کھلا اب شام کو بھی گھر کا دروازہ نہیں ہوتا
کبھی وہ اک اشارے سے سمجھ جاتا تھا ساری بات
جتن کرنے سے بھی اب اس کو اندازہ نہیں ہوتا
بہت ہی بن سنور کر آج کل گھر سے نکلتا ہے
مگر یہ کیا کہ وہ چہرہ تر و تازہ نہیں ہوتا
کبھی دکھ آ کے رہتے ہیں کبھی سکھ آ کے رہتے ہیں
کسی پر بند اپنے گھر کا دروازہ نہیں ہوتا
مرے بارے میں وہ کیا سوچتا ہے موڈ کیسا ہے
اب اس سے شام کو بھی مل کے اندازہ نہیں ہوتا
tiri awaz mein bhi koi awaza nahin hota
tiri baton se ab to koi andaza nahin hota
kabhi baithak tiri dopahar mein abad rahti thi
khula ab sham ko bhi ghar ka darwaza nahin hota
kabhi wo ik ishare se samajh jata tha sari bat
jatan karne se bhi ab us ko andaza nahin hota
bahut hi ban sanwar kar aj kal ghar se nikalta hai
magar ye kya ke wo chehra tar-o-taza nahin hota
kabhi dukh a ke rahte hain kabhi sukh a ke rahte hain
kisi par band apne ghar ka darwaza nahin hota
mire bare mein wo kya sochta hai mud kaisa hai
ab us se sham ko bhi mil ke andaza nahin hota