کیا ہے قسمت میں قلب مائل کی
Iftikhar Raghib (b. 1973)کیا ہے قسمت میں قلب مائل کی
حد نہیں رنج کے وسائل کی
دست بردار ہے مسیحائی
دیکھ حالت اب اپنے گھائل کی
وہ کہ ہر مسئلے کا میرے حل
میں کہ جڑ اس کے سب مسائل کی
کتنا پھیلا ہے زہر وحشت کا
کتنی تاثیر ہم نے زائل کی
کاسۂ عشق میں وفا کی بھیک
اور کیا آرزو تھی سائل کی
ان کی ضد کا تھا سامنا راغبؔ
دھجیاں اڑ گئیں دلائل کی
kya hai qismat mein qalb mail ki
had nahin ranj ke wasail ki
dast bardar hai masihai
dekh halat ab apne ghayal ki
wo ke har masale ka mere hal
main ke jur us ke sab masail ki
kitna phaila hai zahr wahshat ka
kitni tasir ham ne zail ki
kasa-e-ishq mein wafa ki bhik
aur kiya arzu thi sail ki
un ki zid ka tha samna raghib
dhajjiyan ur gain dilail ki