مصیبت میں زمیں بھی کم نہیں ہے
Iftikhar Raghib (b. 1973)مصیبت میں زمیں بھی کم نہیں ہے
سو بے چینی کہیں بھی کم نہیں ہے
تمہارے دل میں کیا ہے کچھ تو بولو
تمہارا کچھ نہیں بھی کم نہیں ہے
نہیں جھکتا کسی کے خوف سے دل
یہ ننھی سی جبیں بھی کم نہیں ہے
مشام جاں معطر اور دل بھی
تری خوشبو کہیں بھی کم نہیں ہے
اگرچہ بے یقینی بھی ہے تھوڑی
اسے مجھ پر یقیں بھی کم نہیں ہے
تمہیں ہے خوف ایٹم بم کا اتنا
یہ آہ آتشیں بھی کم نہیں ہے
چلو کہہ دو کہ ہے مجھ سے محبت
نہیں ہے تو نہیں بھی کم نہیں ہے
ستم سہہ کر بھی دل رہتا ہے راغبؔ
کہ وہ ظالم حسیں بھی کم نہیں ہے
musibat mein zamin bhi kam nahin hai
so be chini kahin bhi kam nahin hai
tumhare dil mein kya hai kuchh to bolo
tumhara kuchh nahin bhi kam nahin hai
nahin jhukta kisi ke khauf se dil
ye nanhi si jabin bhi kam nahin hai
masham-e-jan muattar aur dil bhi
tiri khushbu kahin bhi kam nahin hai
agarche be yaqini bhi hai thori
use mujh par yaqin bhi kam nahin hai
tumhen hai khauf aitam bam ka itna
ye ah-e-atishin bhi kam nahin hai
chalo kah do ke hai mujh se mohabbat
nahin hai to nahin bhi kam nahin hai
sitam sah kar bhi dil rahta hai raghib
ke wo zalim hasin bhi kam nahin hai