اچھے دنوں کی آس لگا کر میں نے خود کو روکا ہے
Iftikhar Raghib (b. 1973)اچھے دنوں کی آس لگا کر میں نے خود کو روکا ہے
کیسے کیسے خواب دکھا کر میں نے خود کو روکا ہے
میں نے خود کو روکا ہے جذبات کی رو میں بہنے سے
دل میں سو ارمان دبا کر میں نے خود کو روکا ہے
فرقت کے موسم میں کیسے زندہ ہوں تم کیا جانو
کیسے اس دل کو سمجھا کر میں نے خود کو روکا ہے
چھوڑ کے سب کچھ تم سے ملنے آ جانا دشوار نہیں
مستقبل کا خوف دلا کر میں نے خود کو روکا ہے
کٹتے کہاں ہیں ہجر کے لمحے پھر بھی ایک زمانے سے
تیری یادوں سے بہلا کر میں نے خود کو روکا ہے
واپس جانے کے سب رستے میں نے خود مسدود کیے
کشتی اور پتوار جلا کر میں نے خود کو روکا ہے
جب بھی میں نے چاہا راغبؔ دشمن پر یلغار کروں
خود کو اپنے سامنے پا کر میں نے خود کو روکا ہے
achchhe dinon ki as laga kar main ne khud ko roka hai
kaise kaise khwab dikha kar main ne khud ko roka hai
main ne khud ko roka hai jazbat ki rau mein bahne se
dil mein so arman daba kar main ne khud ko roka hai
furqat ke mausam mein kaise zinda hun tum kya jano
kaise is dil ko samjha kar main ne khud ko roka hai
chhor ke sab kuchh tum se milne a jana dushwar nahin
mustaqbil ka khauf dila kar main ne khud ko roka hai
katte kahan hain hijr ke lamhe phir bhi ek zamane se
teri yadon se bahla kar main ne khud ko roka hai
wapas jane ke sab raste main ne khud masdud kiye
kashti aur patwar jala kar main ne khud ko roka hai
jab bhi main ne chaha raghib dushman par yalghar karun
khud ko apne samne pa kar main ne khud ko roka hai