چاہتوں کا سلسلہ ہے مستقل
Iftikhar Raghib (b. 1973)چاہتوں کا سلسلہ ہے مستقل
سبز موسم کرب کا ہے مستقل
کیا بتاؤں دل میں کس کی یاد کا
ایک کانٹا چبھ رہا ہے مستقل
بڑھ رہا ہے مستقل قحط شجر
زہر آلودہ فضا ہے مستقل
راہ الفت میں کہاں آسانیاں
پر خطر یہ راستہ ہے مستقل
آ گئی ہے فصل آزادی مگر
خوف کا پودا ہرا ہے مستقل
دشمنی کے سب دریچے بند ہیں
دوستی کا در کھلا ہے مستقل
عشق کے اک ٹمٹماتے دیپ نے
دل کو روشن کر رکھا ہے مستقل
ایک موسم کی کسک ہے دل میں دفن
میٹھا میٹھا درد سا ہے مستقل
ذہن و دل کی وادیٔ پر امن میں
گونجتی کس کی صدا ہے مستقل
دیکھ کر رسم وفا اس دور کی
شرمگیں حرف وفا ہے مستقل
غم کسی کا ہو گیا راغبؔ نصیب
ورنہ اس دنیا میں کیا ہے مستقل
chahaton ka silsila hai mustaqil
sabz mausam karb ka hai mustaqil
kya bataun dil mein kis ki yad ka
ek kanta chubh raha hai mustaqil
barh raha hai mustaqil qaht-e-shajar
zahr aluda faza hai mustaqil
rah-e-ulfat mein kahan asaniyan
pur khatar ye rasta hai mustaqil
a gai hai fasl-e-azadi magar
khauf ka pauda hara hai mustaqil
dushmani ke sab dariche band hain
dosti ka dar khula hai mustaqil
ishq ke ik timtimate dip ne
dil ko raushan kar rakha hai mustaqil
ek mausam ki kasak hai dil mein dafn
mitha mitha dard sa hai mustaqil
zehn-o-dil ki wadi-e-pur amn mein
gunjti kis ki sada hai mustaqil
dekh kar rasm-e-wafa is daur ki
sharmgin harf-e-wafa hai mustaqil
gham kisi ka ho gaya raghib nasib
warna is duniya mein kya hai mustaqil