وہ کہتے ہیں کہ آنکھوں میں مری تصویر کس کی ہے
Iftikhar Raghib (b. 1973)وہ کہتے ہیں کہ آنکھوں میں مری تصویر کس کی ہے
میں کہتا ہوں کہ روشن اس قدر تقدیر کس کی ہے
وہ کہتے ہیں کہ کس نے آپ کو روکا ہے جانے سے
میں کہتا ہوں کہ میرے پانو میں زنجیر کس کی ہے
وہ کہتے ہیں کہ ہے انسان تو اک خاک کا پتلا
میں کہتا ہوں کہ اتنی عظمت و توقیر کس کی ہے
وہ کہتے ہیں کہ دل میں آپ نے کس کو بسایا ہے
میں کہتا ہوں کہ یہ دنیائے دل جاگیر کس کی ہے
وہ کہتے ہیں کہ کس نے جا بجا لکھا ہے میرا نام
میں کہتا ہوں شکستہ اس قدر تحریر کس کی ہے
وہ کہتے ہیں کہ میں نے آپ سا سامع نہیں دیکھا
میں کہتا ہوں کہ اتنی پر کشش تقریر کس کی ہے
وہ کہتے ہیں ترے شعروں میں ہے شوخی قیامت کی
میں کہتا ہوں خیال و فکر میں تنویر کس کی ہے
وہ کہتے ہیں کہ ہم ہیں دشمنان امن کے دشمن
میں کہتا ہوں کہ ان کے ہاتھ میں شمشیر کس کی ہے
وہ کہتے ہیں کہ راغبؔ تم نہیں رکھتے خیال اپنا
میں کہتا ہوں کہ ہر دم فکر دامن گیر کس کی ہے
wo kahte hain ke ankhon mein miri taswir kis ki hai
main kahta hun ke raushan is qadar taqdir kis ki hai
wo kahte hain ke kis ne ap ko roka hai jane se
main kahta hun ke mere paon mein zanjir kis ki hai
wo kahte hain ke hai insan to ik khak ka putla
main kahta hun ke itni azmat-o-tauqir kis ki hai
wo kahte hain ke dil mein ap ne kis ko basaya hai
main kahta hun ke ye duniya-e-dil jagir kis ki hai
wo kahte hain ke kis ne ja baja likha hai mera nam
main kahta hun shikasta is qadar tahrir kis ki hai
wo kahte hain ke main ne ap sa same nahin dekha
main kahta hun ke itni pur kashish taqrir kis ki hai
wo kahte hain tire sheron mein hai shokhi qayamat ki
main kahta hun khayal-o-fikr mein tanwir kis ki hai
wo kahte hain ke ham hain dushmanan-e-amn ke dushman
main kahta hun ke un ke hath mein shamshir kis ki hai
wo kahte hain ke raghib tum nahin rakhte khayal apna
main kahta hun ke har dam fikr-e-daman gir kis ki hai