ہیں جتنی پرتیں یہاں آسمان میں شامل
Gautam Rajrishi (b. 1975)ہیں جتنی پرتیں یہاں آسمان میں شامل
سبھی ہوئیں مری حد کی اڑان میں شامل
بڑھا ہے شہر میں رتبہ ذرا ہمارا بھی
ہوئے ہیں جیسے ہم ان کے بیان میں شامل
اچھال یوں ہی نہیں بڑھ گئی ہے لہروں کی
ندی کا زور بھی ہے کچھ ڈھلان میں شامل
دھواں غبار پرندے تپش گھٹن خوشبو
ہیں بوجھ کتنے ہوا کی تھکان میں شامل
تھیں قسط جتنی بھی خوابوں کی بے حساب پڑی
کیا ہے نیند نے سب کو لگان میں شامل
سنا ہے نام سے تیرے ہیں بکتے افسانے
مجھے بھی کر لے کبھی داستان میں شامل
ذرا سی دوستی کی ہم سے قافیوں نے کیا
کیا غزل نے ہمیں خاندان میں شامل
hain jitni paraten yahan asman mein shamil
sabhi huin miri had ki uran mein shamil
barha hai shahr mein rutba zara hamara bhi
hue hain jaise ham un ke bayan mein shamil
uchhal yun hi nahin barh gai hai lahron ki
nadi ka zor bhi hai kuchh dhalan mein shamil
dhuan ghubar parinde tapish ghutan khushbu
hain bojh kitne hawa ki thakan mein shamil
thin qist jitni bhi khwabon ki be hisab pari
kya hai nind ne sab ko lagan mein shamil
suna hai nam se tere hain bikte afsane
mujhe bhi kar le kabhi dastan mein shamil
zara si dosti ki ham se qafiyon ne kiya
kiya ghazal ne hamen khandan mein shamil