زنجیر میں ہیں دیر و حرم کون و مکاں بھی
Ghalib Ahmad (b. 1928)زنجیر میں ہیں دیر و حرم کون و مکاں بھی
ہے عشق ہمیں ان سے نہیں جن کا گماں بھی
جو جسم کے ذروں میں خدا ڈھونڈ رہی ہے
یوسف کی زلیخا میں ہے وہ روح تپاں بھی
اس مہر خموشی میں نہاں روح تکلم
اس سوئے ہوئے شہر کی ہے اپنی زباں بھی
ہر لہر کے سینے سے لپٹتا ہے مرا دل
منجدھار کے اس پار ہو ساحل کا نشاں بھی
کیوں وقت کی لہریں مجھے لے جائیں کسی اور
دائم دل دریا ہوں میں موجوں میں رواں بھی
ہم زیست کی سرحد پہ ملے موت سے لیکن
ہے دشت طلب بھی وہی اور منزل جاں بھی
zanjir mein hain dair-o-haram kaun-o-makan bhi
hai ishq hamen un se nahin jin ka guman bhi
jo jism ke zarron mein khuda dhund rahi hai
yusuf ki zulekha mein hai wo ruh tapan bhi
is mehr-e-khamoshi mein nihan ruh takallum
is soe hue shahr ki hai apni zaban bhi
har lahr ke sine se lipatta hai mira dil
manjdhar ke us par ho sahil ka nishan bhi
kyun waqt ki lahren mujhe le jaen kisi aur
daim dil-e-dariya hun main maujon mein rawan bhi
ham zist ki sarhad pe mile maut se lekin
hai dasht-e-talab bhi wahi aur manzil-e-jan bhi