پتے نہیں کہیں ہری شاخ شجر نہیں
Ghalib Ahmad (b. 1928)پتے نہیں کہیں ہری شاخ شجر نہیں
اس شہر میں بہار کی کوئی خبر نہیں
رنگ خزاں میں لاکھ ملاؤں دلوں کے رنگ
موج شراب و شعر میں کوئی اثر نہیں
ڈوبے پڑے ہیں قلزم خواب و خیال میں
موج رواں کہاں ہے کسی کو خبر نہیں
دریا میں موج بن کے کہاں تک رہے کوئی
موج رواں بہ صورت دیوار و در نہیں
اب منزل وجود نہیں دل کی کائنات
اس گھر میں ایک میں ہوں کوئی بام پر نہیں
تو راحت وجود ہے تو روح کائنات
اس گھر میں تو نہیں ہے تو یہ میرا گھر نہیں
دشت طلب ہے ختم یہاں ناقۂ نگاہ
یہ وہ زمیں ہے جس میں تمہارا گزر نہیں
patte nahin kahin hari shakh-e-shajar nahin
is shahr mein bahar ki koi khabar nahin
rang-e-khizan mein lakh milaun dilon ke rang
mauj-e-sharab-o-sher mein koi asar nahin
dube pare hain qulzum-e-khwab-o-khayal mein
mauj-e-rawan kahan hai kisi ko khabar nahin
dariya mein mauj ban ke kahan tak rahe koi
mauj-e-rawan ba surat-e-diwar-o-dar nahin
ab manzil-e-wajud nahin dil ki kainat
is ghar mein ek main hun koi bam par nahin
tu rahat-e-wajud hai to ruh-e-kainat
is ghar mein to nahin hai to ye mera ghar nahin
dasht-e-talab hai khatm yahan naqa-e-nigah
ye wo zamin hai jis mein tumhara guzar nahin