یوں ہی وابستگی نہیں ہوتی
Ibn-e-Safi (1928–1980)یوں ہی وابستگی نہیں ہوتی
دور سے دوستی نہیں ہوتی
جب دلوں میں غبار ہوتا ہے
ڈھنگ سے بات بھی نہیں ہوتی
چاند کا حسن بھی زمین سے ہے
چاند پر چاندنی نہیں ہوتی
جو نہ گزرے پری وشوں میں کبھی
کام کی زندگی نہیں ہوتی
دن کے بھولے کو رات ڈستی ہے
شام کو واپسی نہیں ہوتی
آدمی کیوں ہے وحشتوں کا شکار
کیوں جنوں میں کمی نہیں ہوتی
اک مرض کے ہزار ہیں نباض
پھر بھی تشخیص ہی نہیں ہوتی
yun hi wabastagi nahin hoti
dur se dosti nahin hoti
jab dilon mein ghubar hota hai
dhang se bat bhi nahin hoti
chand ka husn bhi zamin se hai
chand par chandni nahin hoti
jo na guzre pari washon mein kabhi
kam ki zindagi nahin hoti
din ke bhule ko rat dasti hai
sham ko wapsi nahin hoti
admi kyun hai wahshaton ka shikar
kyun junun mein kami nahin hoti
ik maraz ke hazar hain nabbaz
phir bhi tashkhis hi nahin hoti