تازہ بہ تازہ صبح کے اخبار کی طرح
Ganesh Gaikwad Aaghaz (b. 1970)تازہ بہ تازہ صبح کے اخبار کی طرح
بیچا گیا میں آج بھی ہر بار کی طرح
قاتل ہے میری جان کا دشمن ہے وہ مگر
ملتا ہے مجھ سے جو کسی غم خوار کی طرح
اک شے کہ جس کا نام ہے احساس ذہن میں
پیہم کھٹکتا رہتا ہے اک خار کی طرح
میں اپنی بے گناہی پہ خود اپنے آپ میں
رہتا ہوں شرمسار گنہ گار کی طرح
کرتے ہیں بات بات میں جذبوں کا مول تول
کرتے ہیں لوگ پیار بھی بیوپار کی طرح
چاہت بھی ان کی ہوتی ہے نفرت لئے ہوئے
اقرار بھی وہ کرتے ہیں انکار کی طرح
آغازؔ ہر زبان پہ ہر ایک بزم میں
ہے اس کا تذکرہ مرے اشعار کی طرح
taza ba taza subh ke akhbar ki tarah
becha gaya main aj bhi har bar ki tarah
qatil hai meri jan ka dushman hai wo magar
milta hai mujh se jo kisi gham khwar ki tarah
ik shai ke jis ka nam hai ehsas-e-zehn mein
paiham khatakta rahta hai ik khar ki tarah
main apni be gunahi pe khud apne ap mein
rahta hun sharmsar gunah gar ki tarah
karte hain bat bat mein jazbon ka mol tol
karte hain log pyar bhi byopar ki tarah
chahat bhi un ki hoti hai nafrat liye hue
iqrar bhi wo karte hain inkar ki tarah
aghaz har zaban pe har ek bazm mein
hai us ka tazkira mire ashar ki tarah