اب چلو دیکھ لیں یہی کر کے
Faiz rahil Khan (b. 1994)اب چلو دیکھ لیں یہی کر کے
اپنے ماضی پہ شاعری کر کے
لے گئی راتیں پھر اجالوں کو
پھر سے باتیں بڑی بڑی کر کے
راتیں مجھ میں سکون کتنا ہے
ہم نے دیکھا یہ بندگی کر کے
زندگی اک کتاب تھی پھر بھی
لوگ گزرے غلط سہی کر کے
لوٹنا ہے مجھے وہیں یاروں
ان کے ہی نام زندگی کر کے
فیضؔ سودا نہیں کیا ہم نے
ان اندھیروں سے روشنی کر کے
ab chalo dekh len yahi kar ke
apne mazi pe shayari kar ke
le gai raten phir ujalon ko
phir se baten bari bari kar ke
raten mujh mein sukun kitna hai
ham ne dekha ye bandagi kar ke
zindagi ik kitab thi phir bhi
log guzre ghalat sahi kar ke
lautna hai mujhe wahin yaron
un ke hi nam zindagi kar ke
faiz sauda nahin kiya ham ne
in andheron se raushni kar ke