ہاں کاہش فضول کا حاصل بھی کچھ نہیں
Gauhar Hoshiyarpuri (1930–2000)ہاں کاہش فضول کا حاصل بھی کچھ نہیں
لیکن حیات بے خلش دل بھی کچھ نہیں
اب سوچ لو قدم ہیں زیاں گاہ شوق میں
کہنا نہ پھر کہ جذبۂ کامل بھی کچھ نہیں
گہرا سکوت چاپ کی آواز بازگشت
رہ میں بھی کچھ نہ تھا سر منزل بھی کچھ نہیں
جز حرص منفعت تہ دریا بھی کچھ نہ تھا
جز وہم عافیت لب ساحل بھی کچھ نہیں
سب جذب آرزو کی تمازت کا کھیل ہے
دل سرد ہو تو گرمئ محفل بھی کچھ نہیں
بدلے تو اک نمونۂ اعراض و احتراز
یوں اس نگہ کی راہ میں حائل بھی کچھ نہیں
گوہرؔ خلا میں گھورتے پھرتے ہو اب کہو
کیا سچ ہے بھولنا اسے مشکل بھی کچھ نہیں
han kahish-e-fuzul ka hasil bhi kuchh nahin
lekin hayat-e-be khalish-e-dil bhi kuchh nahin
ab soch lo qadam hain ziyan gah-e-shauq mein
kahna na phir ke jazba-e-kamil bhi kuchh nahin
gahra sukut chap ki awaz-e-bazgasht
rah mein bhi kuchh na tha sar-e-manzil bhi kuchh nahin
juz hirs-e-munfaat tah-e-dariya bhi kuchh na tha
juz wahm afiyat lab-e-sahil bhi kuchh nahin
sab jazb-e-arzu ki tamazat ka khel hai
dil sard ho to garmi-e-mahfil bhi kuchh nahin
badle to ik namuna-e-eraz-o-ehtiraz
yun us nigah ki rah mein hail bhi kuchh nahin
gauhar khala mein ghorate phirte ho ab kaho
kya sach hai bhulna use mushkil bhi kuchh nahin