پربت ترے پہلو میں اگر کھائی نہیں ہے
Ehtisham Hasan (b. 1969)پربت ترے پہلو میں اگر کھائی نہیں ہے
کاہے کی بلندی جہاں گہرائی نہیں ہے
اب کوئی وہاں اس لیے ہوتا نہیں رسوا
کوچے میں ترے کوئی تماشائی نہیں ہے
حضرت جو رواداری نظر آپ میں آئی
کیوں آپ کے بچوں میں نظر آئی نہیں ہے
دنیا نے تو اس میں بھی کئی نقص نکالے
تصویر جو میں نے ابھی بنوائی نہیں ہے
اس واسطے بھی روشنی ہے باعث وحشت
آنکھوں کی چراغوں سے شناسائی نہیں ہے
خود بانٹ کے آئیں گے وہاں اپنی صدا ہم
جس سمت ہواؤں نے یہ پہنچائی نہیں ہے
شاید کہ ہر اک شخص کو ہوتی ہے محبت
اور سب ہی یہ کہتے ہیں کہ دانائی نہیں ہے
لوگوں سے حسنؔ کر کے کئی بار کنارہ
دیکھا ہے کسی کام کی تنہائی نہیں ہے
parbat tire pahlu mein agar khai nahin hai
kahe ki bulandi jahan gahrai nahin hai
ab koi wahan is liye hota nahin ruswa
kuche mein tire koi tamashai nahin hai
hazrat jo rawadari nazar ap mein ai
kyun ap ke bachchon mein nazar ai nahin hai
duniya ne to is mein bhi kai naqs nikale
taswir jo main ne abhi banwai nahin hai
is waste bhi raushni hai bais-e-wahshat
ankhon ki charaghon se shanasai nahin hai
khud bant ke aenge wahan apni sada ham
jis samt hawaon ne ye pahunchai nahin hai
shayad ke har ik shakhs ko hoti hai mohabbat
aur sab hi ye kahte hain ke danai nahin hai
logon se husn kar ke kai bar kinara
dekha hai kisi kam ki tanhai nahin hai