عشق جو والہانہ ہوتا ہے
Ejaaz tawakkal (b. 1962)عشق جو والہانہ ہوتا ہے
خود کو ہی آزمانا ہوتا ہے
صرف الفاظ ہی نہیں ہوتے
شعر پورا زمانہ ہوتا ہے
کشتیاں اور لوگ لاتے ہیں
میں نے دریا بنانا ہوتا ہے
مبتلا بے نشاں نہیں ہوتے
ان کا اپنا گھرانا ہوتا ہے
لوگ کرتے ہیں عشق کی باتیں
میں نے کرکے دکھانا ہوتا ہے
وصل تنہا نہیں ہے اس کے جناب
ہجر شانہ بہ شانہ ہوتا ہے
ہم کسی کو پیام دیتے ہیں
شعر تو اک بہانہ ہوتا ہے
میں مزاجاً فقیر ہوں میرا
ہر سخن عاجزانہ ہوتا ہے
ishq jo walhana hota hai
khud ko hi azmana hota hai
sirf alfaz hi nahin hote
sher pura zamana hota hai
kashtiyan aur log late hain
main ne dariya banana hota hai
mubtala be nishan nahin hote
un ka apna gharana hota hai
log karte hain ishq ki baten
main ne karke dikhana hota hai
wasl tanha nahin hai us ke janab
hijr shana ba shana hota hai
ham kisi ko payam dete hain
sher to ik bahana hota hai
main mizajan faqir hun mera
har sukhan ajizana hota hai