ہو کے باریک مل رہی ہے مجھے
Ejaaz tawakkal (b. 1962)ہو کے باریک مل رہی ہے مجھے
ہر خبر ویک مل رہی ہے مجھے
خوش بہت ہیں ہم ایک دوسرے سے
زندگی ٹھیک مل رہی ہے مجھے
پھول ہے عشق کا سہولت کار
اس سے تحریک مل رہی ہے مجھے
مطمئن ہوں کے صاحبو ہر چیز
گھر کے نزدیک مل رہی ہے مجھے
مہ وشوں کو دعائیں دیتا ہوں
حسن کی بھیک مل رہی ہے مجھے
میں تیقن کی کھوج میں تھا میاں
اور تشکیک مل رہی ہے مجھے
ho ke barik mil rahi hai mujhe
har khabar wek mil rahi hai mujhe
khush bahut hain ham ek dusre se
zindagi thik mil rahi hai mujhe
phul hai ishq ka suhulat kar
us se tahrik mil rahi hai mujhe
mutmain hun ke sahabo har chiz
ghar ke nazdik mil rahi hai mujhe
mah washon ko duaen deta hun
husn ki bhik mil rahi hai mujhe
main tayaqun ki khoj mein tha miyan
aur tashkik mil rahi hai mujhe