اور سمت سفر راستہ اور ہے
Tabish Mehdi (b. 1951)اور سمت سفر راستہ اور ہے
عہد حاضر کا شاید خدا اور ہے
آندھیاں کس لیے مطمئن ہو گئیں
میرے گھر میں ابھی اک دیا اور ہے
جھوٹی خبروں کی تشہیر مت کیجئے
میری بستی کا وہ واقعہ اور ہے
عافیت کی تمنا مناسب نہیں
باقی اک عرصۂ کربلا اور ہے
ہم تمنائے ختم سفر کیوں کریں
اس سفر کی تھکن کا مزا اور ہے
آپ کا شہر دل کش بہت ہے مگر
گاؤں کی میرے آب و ہوا اور ہے
اپنی پہچان بھی اب تو ممکن نہیں
ہم ہی بدلے ہیں یا آئنہ اور ہے
شیش محلوں میں تابشؔ کو مت ڈھونڈیئے
اس قلندر کے گھر کا پتا اور ہے
aur samt-e-safar rasta aur hai
ahd-e-hazir ka shayad khuda aur hai
andhiyan kis liye mutmain ho gain
mere ghar mein abhi ik diya aur hai
jhuti khabron ki tashhir mat kijiye
meri basti ka wo waqia aur hai
afiyat ki tamanna munasib nahin
baqi ik arsa-e-karbala aur hai
ham tamanna-e-khatm-e-safar kyun karen
is safar ki thakan ka maza aur hai
ap ka shahr-e-dil kash bahut hai magar
gaon ki mere ab-o-hawa aur hai
apni pahchan bhi ab to mumkin nahin
ham hi badle hain ya aina aur hai
shish mahlon mein tabish ko mat dhundiye
is qalandar ke ghar ka pata aur hai