یوں تو مرا اس سے کوئی پردہ بھی نہیں ہے
Tabish Mehdi (b. 1951)یوں تو مرا اس سے کوئی پردہ بھی نہیں ہے
لیکن کبھی میں نے اسے دیکھا بھی نہیں ہے
انسان ہے وہ کوئی فرشتہ بھی نہیں ہے
اس سا کوئی دنیا میں نرالا بھی نہیں ہے
دنیا میں کسی کو کبھی کمتر نہیں سمجھا
میں کون ہوں کیا ہوں کبھی سوچا بھی نہیں ہے
کیا جانیے کیوں لوگ گزر جاتے ہیں کٹ کر
میرا تو کسی سے کوئی رشتہ بھی نہیں ہے
دشمن سے فزوں تر ہے نگہبان کی قوت
شاید مرے دشمن نے یہ سوچا بھی نہیں ہے
کیوں میری صدا سن کے زمانہ ہے غضب میں
ایسا کوئی اونچا مرا لہجہ بھی نہیں ہے
کیوں میرے لیے دار سجایا گیا تابشؔ
میں نے تو کسی کو کبھی ٹوکا بھی نہیں ہے
yun to mira us se koi parda bhi nahin hai
lekin kabhi main ne use dekha bhi nahin hai
insan hai wo koi farishta bhi nahin hai
is sa koi duniya mein nirala bhi nahin hai
duniya mein kisi ko kabhi kamtar nahin samjha
main kaun hun kya hun kabhi socha bhi nahin hai
kya janiye kyun log guzar jate hain kat kar
mera to kisi se koi rishta bhi nahin hai
dushman se fuzun tar hai nigahban ki quwwat
shayad mire dushman ne ye socha bhi nahin hai
kyun meri sada sun ke zamana hai ghazab mein
aisa koi uncha mira lahja bhi nahin hai
kyun mere liye dar sajaya gaya tabish
main ne to kisi ko kabhi toka bhi nahin hai