خبر نہیں کہ کوئی کس کے انتخاب میں ہے
Ehsan Akbar (b. 1938)خبر نہیں کہ کوئی کس کے انتخاب میں ہے
مگر جو شخص کل ابھرے گا میرے خواب میں ہے
جہان والوں کے لاکھوں ادھر ادھر کے جواب
حیات کا تو سوال آدمی کے باب میں ہے
ہمیں نہ گھیرتی شاید یہ چار دیواری
مگر یہ خاک جو اس عالم خراب میں ہے
خود اپنے پر جو گئے ہیں وہ طفل کون سے ہیں
وہ نسل کیسی ہے جس کا جہاں عذاب میں ہے
نئے جہان کے معمار پہلے گزریں گے
پھر اس کے بعد وہ دنیا جو صرف خواب میں ہے
عجب سے نقش میں دیوار و در پہ دیکھتا ہوں
بس آنے والے ہیں جن کا سخن کتاب میں ہے
khabar nahin ke koi kis ke intikhab mein hai
magar jo shakhs kal ubhrega mere khwab mein hai
jahan walon ke lakhon idhar idhar ke jawab
hayat ka to sawal admi ke bab mein hai
hamen na gherti shayad ye char diwari
magar ye khak jo is alam-e-kharab mein hai
khud apne par jo gae hain wo tifl-e-kaun se hain
wo nasl kaisi hai jis ka jahan azab mein hai
nae jahan ke memar pahle guzrenge
phir is ke baad wo duniya jo sirf khwab mein hai
ajab se naqsh mein diwar-o-dar pe dekhta hun
bas ane wale hain jin ka sukhan kitab mein hai