دشت تنہائی بادل ہوا اور میں
Tabish Mehdi (b. 1951)دشت تنہائی بادل ہوا اور میں
روز و شب کا یہی سلسلا اور میں
اجنبی راستوں پر بھٹکتے رہے
آرزوؤں کا اک قافلہ اور میں
دونوں ان کی توجہ کے حق دار ہیں
مجھ پہ گزرا تھا جو سانحہ اور میں
سیکڑوں غم مرے ساتھ چلتے رہے
جس کو چھوڑا اسی نے کہا اور میں
روشنی آگہی اور زندہ دلی
ان حریفوں سے تھا واسطا اور میں
دیر تک مل کے روتے رہے راہ میں
ان سے بڑھتا ہوا فاصلا اور میں
جب بھی سوچا تو بس سوچتا رہ گیا
زندگانی ترا مرحلا اور میں
طنز دشنام لعنت عداوت حسد
ان رفیقوں کا سایہ رہا اور میں
dasht-e-tanhai badal hua aur main
roz-o-shab ka yahi salisla aur main
ajnabi raston par bhatakte rahe
arzuon ka ik qafila aur main
donon un ki tawajjoh ke haq dar hain
mujh pe guzra tha jo saneha aur main
saikron gham mire sath chalte rahe
jis ko chhora usi ne kaha aur main
raushni agahi aur zinda dili
in harifon se tha wasta aur main
der tak mil ke rote rahe rah mein
un se barhta hua fasla aur main
jab bhi socha to bas sochta rah gaya
zindagani tira marhalla aur main
tanz dushnam laanat adawat hasad
in rafiqon ka saya raha aur main