دل مبارک ہوں تجھ کو غم اس کے
dagh Niyazi (b. 1954)دل مبارک ہوں تجھ کو غم اس کے
ہیں کرم کی طرح ستم اس کے
جس کو اچھا لگے نہ جام سفال
ہاتھ میں دے دو جام جم اس کے
رونقیں بڑھ گئیں مرے گھر کی
ہیں مبارک بہت قدم اس کے
وہ ہمیں بھولنے لگا شاید
اب تو آتے ہیں خواب کم اس کے
سب کے سب لا جواب بیٹھے ہیں
ہے سوالوں میں کتنا دم اس کے
اب وہ لکھے گا بھوک کی روداد
ہاتھ میں آ گیا قلم اس کے
اس نے بخشے تھے داغؔ جو ہم کو
ہیں سلامت وہ سارے غم اس کے
dil mubarak hun tujh ko gham us ke
hain karam ki tarah sitam us ke
jis ko achchha lage na jam-e-sifal
hath mein de do jam-e-jam us ke
raunaqen barh gain mire ghar ki
hain mubarak bahut qadam us ke
wo hamen bhulne laga shayad
ab to ate hain khwab kam us ke
sab ke sab la jawab baithe hain
hai sawalon mein kitna dam us ke
ab wo likhega bhuk ki rudad
hath mein a gaya qalam us ke
us ne bakhshe the dagh jo ham ko
hain salamat wo sare gham us ke