فرق تجھ سے ہے اک ذرا مجھ میں
Tabassum Azmi (b. 1968)فرق تجھ سے ہے اک ذرا مجھ میں
سنگ تجھ میں ہے آئنہ مجھ میں
بے بسی کی فقط کتاب نہیں
عزم محکم بھی ہے لکھا مجھ میں
فہم و دانش کا نور ہوں یکسر
فکر کا جلتا ہے دیا مجھ میں
مہر و ایثار کا سمندر ہوں
اور دریا ہے پیار کا مجھ میں
مجھ میں جھرنا ہے نرم خوئی کا
ساتھ لاوا بھی ہے چھپا مجھ میں
میرے قدموں تلے ہے جنت بھی
اور دوزخ کا راستہ مجھ میں
میرے ہر غم کا تو مسیحا ہے
تیرے ہر دکھ کی ہے دوا مجھ میں
سب رویے پہ تیرے ہے موقوف
خار اگا دے یا گل کھلا مجھ میں
farq tujh se hai ik zara mujh mein
sang tujh mein hai aina mujh mein
be basi ki faqat kitab nahin
azm-e-mohkam bhi hai likha mujh mein
fahm-o-danish ka nur hun yaksar
fikr ka jalta hai diya mujh mein
mehr-o-isar ka samundar hun
aur dariya hai pyar ka mujh mein
mujh mein jharna hai narm khui ka
sath lawa bhi hai chhupa mujh mein
mere qadmon tale hai jannat bhi
aur dozakh ka rasta mujh mein
mere har gham ka to masiha hai
tere har dukh ki hai dawa mujh mein
sab rawayye pe tere hai mauquf
khar uga de ya gul khula mujh mein