رکھا سنجو کے گوہر نایاب کی طرح
Tabassum Azmi (b. 1968)رکھا سنجو کے گوہر نایاب کی طرح
سونپی تھی جو بزرگوں نے آداب کی طرح
اٹھتے ہی ان کے حرف بھی سارے بکھر گئے
جن کا وجود گھر میں تھا اعراب کی طرح
کچھ کھردرے سے دھاگے بھی چادر میں اس کی ہیں
کب زندگی ہے ریشم و کمخواب کی طرح
دکھ ہی نہیں ہیں زہر ہلاہل فقط یہاں
سکھ بھی ملا ہے بارہا زہراب کی طرح
اکثر ہوا ہے ایسا کہ چھوٹی سی موج بھی
سب کچھ بہا کے لے گئی سیلاب کی طرح
rakha sanjo ke gauhar-e-nayab ki tarah
saunpi thi jo buzurgon ne adab ki tarah
uthte hi un ke harf bhi sare bikhar gae
jin ka wajud ghar mein tha erab ki tarah
kuchh khurdare se dhage bhi chadar mein us ki hain
kab zindagi hai resham-o-kamkhwab ki tarah
dukh hi nahin hain zahr-e-halahal faqat yahan
sukh bhi mila hai barha zahrab ki tarah
aksar hua hai aisa ke chhoti si mauj bhi
sab kuchh baha ke le gai sailab ki tarah