مجھے یہ ڈر ہے کہ اب بس یہی نہ کر بیٹھوں
Aadarsh Dubey (b. 2001)مجھے یہ ڈر ہے کہ اب بس یہی نہ کر بیٹھوں
تری خوشی میں کہیں خودکشی نہ کر بیٹھوں
وہ سن کے اس لیے مجھ کو جواب دیتا نہیں
سوال اس سے کوئی آخری نہ کر بیٹھوں
میں جس کو ڈھونڈ رہا تھا وہ مل گیا مجھ میں
تمام شکوہ گلے آج ہی نہ کر بیٹھوں
ہر ایک سمت مجھے تو دکھائی دیتا ہے
میں ایک عشق کے پیچھے کئی نہ کر بیٹھوں
بڑے جتن سے بنایا ہے اس نے جس کو خدا
کہیں میں چھو کے اسے آدمی نہ کر بیٹھوں
چلے بھی آؤ کے اک روز یہ بھی ممکن ہے
تمہارے نام میں یہ زندگی نہ کر بیٹھوں
کچھ اس لئے بھی توجہ طلب زیادہ ہوں
جو کہہ رہا ہوں کہیں واقعی نہ کر بیٹھوں
mujhe ye dar hai ke ab bas yahi na kar baithun
tiri khushi mein kahin khudkushi na kar baithun
wo sun ke is liye mujh ko jawab deta nahin
sawal us se koi akhiri na kar baithun
main jis ko dhund raha tha wo mil gaya mujh mein
tamam shikwa gale aj hi na kar baithun
har ek samt mujhe to dikhai deta hai
main ek ishq ke pichhe kai na kar baithun
bare jatan se banaya hai us ne jis ko khuda
kahin main chhu ke use admi na kar baithun
chale bhi ao ke ik roz ye bhi mumkin hai
tumhare nam mein ye zindagi na kar baithun
kuchh is liye bhi tawajjoh talab ziyada hun
jo kah raha hun kahin waqai na kar baithun