مشکل کو اس نے سب کی آسان کر دیا ہے
Aadarsh Dubey (b. 2001)مشکل کو اس نے سب کی آسان کر دیا ہے
موجودگی کا اپنی اعلان کر دیا ہے
بیٹھے ہوئے ہیں پتھر شیشوں کا جسم پہنے
محفل نے تیری سب کو حیران کر دیا ہے
اتنی جگہ کہاں تھی رکھ پائیں ساری دنیا
کچھ اس لیے بھی دل کو ویران کر دیا ہے
حیران ہیں ہوائیں موسم بھی ہے پریشاں
جھونکے کو اس نے کیسے طوفان کر دیا ہے
میں چاہ کے بھی اس کو شاید نہ بھول پاتا
اے وقت تو نے مجھ پر احسان کر دیا ہے
mushkil ko us ne sab ki asan kar diya hai
maujudgi ka apni elan kar diya hai
baithe hue hain patthar shishon ka jism pahne
mahfil ne teri sab ko hairan kar diya hai
itni jagah kahan thi rakh paen sari duniya
kuchh is liye bhi dil ko wiran kar diya hai
hairan hain hawaen mausam bhi hai pareshan
jhonke ko us ne kaise tufan kar diya hai
main chah ke bhi us ko shayad na bhul pata
ai waqt tu ne mujh par ehsan kar diya hai