چہرے پہ کسی کرب کی تنویر نہیں کی
Tabassum Azmi (b. 1968)چہرے پہ کسی کرب کی تنویر نہیں کی
محسوس ہی کرتے رہے تفسیر نہیں کی
قدموں کو حقیقت کی زمیں پر ہی دھرا ہے
خوش فہمی کی جنت کبھی تعمیر نہیں کی
واعظ کے کبھی نقش قدم پر نہ چلے ہم
خود کر کے دکھایا کبھی تقریر نہیں کی
معصوم چراغوں کو ہواؤں نے بجھایا
کیوں بھڑکے ہوئے شعلوں پہ تعذیر نہیں کی
اس کی ہی کہی بات کو دنیا نے نوازا
جس نے کبھی اظہار میں تاخیر نہیں کی
کس طرح زمانے کو خبر ہو گئی اس کی
وہ بات جو اشعار میں تحریر نہیں کی
کچھ خواب جو معراج تھے ہستی کے تبسمؔ
ان خوابوں کی میلی کبھی تعبیر نہیں کی
chehre pe kisi karb ki tanwir nahin ki
mahsus hi karte rahe tafsir nahin ki
qadmon ko haqiqat ki zamin par hi dhara hai
khush fahmi ki jannat kabhi taamir nahin ki
waiz ke kabhi naqsh-e-qadam par na chale ham
khud kar ke dikhaya kabhi taqrir nahin ki
maasum charaghon ko hawaon ne bujhaya
kyun bharke hue sholon pe taazir nahin ki
us ki hi kahi bat ko duniya ne nawaza
jis ne kabhi izhar mein takhir nahin ki
kis tarah zamane ko khabar ho gai us ki
wo bat jo ashar mein tahrir nahin ki
kuchh khwab jo meraj the hasti ke tabassum
in khwabon ki maili kabhi taabir nahin ki