یہ بھی نہیں کہ ہم نے بھروسا کیا نہ ہو
Tabassum Azmi (b. 1968)یہ بھی نہیں کہ ہم نے بھروسا کیا نہ ہو
یہ بھی نہیں کہ آنکھ سے پردہ ہٹا نہ ہو
یہ بھی نہیں کہ آپ سمجھ پائیں دل کی بات
یہ بھی نہیں کہ آپ کو کچھ بھی پتا نہ ہو
یہ بھی نہیں کہ سب پہ زمانہ ہو مہرباں
یہ بھی نہیں کسی سے زمانہ خفا نہ ہو
یہ بھی نہیں کہ آنکھ ہے در پر لگی ہوئی
یہ بھی نہیں کہ دل کو کوئی آسرا نہ ہو
یہ بھی نہیں کہ ضبط سے گزرے نہیں کبھی
یہ بھی نہیں کہ آنکھ سے آنسو بہا نہ ہو
یہ بھی نہیں کہ یاس کے بادل جمے رہے
یہ بھی نہیں کہ آس کا سورج اگا نہ ہو
یہ بھی نہیں کہ وعدے نباہے گئے ہوں سب
یہ بھی نہیں کہ کوئی بھی وعدہ وفا نہ ہو
ye bhi nahin ke ham ne bharosa kiya na ho
ye bhi nahin ke ankh se parda hata na ho
ye bhi nahin ke ap samajh paen dil ki bat
ye bhi nahin ke ap ko kuchh bhi pata na ho
ye bhi nahin ke sab pe zamana ho mehrban
ye bhi nahin kisi se zamana khafa na ho
ye bhi nahin ke ankh hai dar par lagi hui
ye bhi nahin ke dil ko koi asra na ho
ye bhi nahin ke zabt se guzre nahin kabhi
ye bhi nahin ke ankh se ansu baha na ho
ye bhi nahin ke yas ke badal jame rahe
ye bhi nahin ke as ka suraj uga na ho
ye bhi nahin ke waade nibahe gae hun sab
ye bhi nahin ke koi bhi waada wafa na ho