یہ الگ بات کہ فرصت بھی نہیں ملتی ہے
Aalam Nizami (b. 1984)یہ الگ بات کہ فرصت بھی نہیں ملتی ہے
خود سے مل کر ہمیں راحت بھی نہیں ملتی ہے
ہم تو کرنا بھی نہیں چاہتے دل کا سودا
اور مناسب ہمیں قیمت بھی نہیں ملتی ہے
عشق وہ جرم ہے اس جرم کو کرنے والو
اس کے مجرم کو ضمانت بھی نہیں ملتی ہے
دوڑتے بھی نہیں شہرت کے ہم آگے پیچھے
اور آسانی سے شہرت بھی نہیں ملتی ہے
ہر جگہ لوگ مہذب بھی نہیں ہوتے ہیں
ہر جگہ دوستو عزت بھی نہیں ملتی ہے
ہم نے مانا کہ برے آپ نہیں ہیں لیکن
آپ میں کوئی شرافت بھی نہیں ملتی ہے
عیش بیٹے کی کمائی سے بہو کرتی ہے
ماں کو اب دودھ کی اجرت بھی نہیں ملتی ہے
ہر کسی سے نہیں رکھتا ہوں میں رشتہ عالمؔ
ہر کسی سے یہ طبیعت بھی نہیں ملتی ہے
ye alag bat ke fursat bhi nahin milti hai
khud se mil kar hamen rahat bhi nahin milti hai
ham to karna bhi nahin chahte dil ka sauda
aur munasib hamen qimat bhi nahin milti hai
ishq wo jurm hai is jurm ko karne walo
us ke mujrim ko zamanat bhi nahin milti hai
daurte bhi nahin shohrat ke ham age pichhe
aur asani se shohrat bhi nahin milti hai
har jagah log mohazzab bhi nahin hote hain
har jagah dosto izzat bhi nahin milti hai
ham ne mana ke bure ap nahin hain lekin
ap mein koi sharafat bhi nahin milti hai
aish bete ki kamai se bahu karti hai
man ko ab dudh ki ujrat bhi nahin milti hai
har kisi se nahin rakhta hun main rishta alam
har kisi se ye tabiat bhi nahin milti hai