کبھی شفق تو کبھی گل کبھی جناں مہکے
Aalam Nizami (b. 1984)کبھی شفق تو کبھی گل کبھی جناں مہکے
تمہارے نقش قدم بھی کہاں کہاں مہکے
کوئی امین صداقت ادھر سے گزرا ہے
قدم قدم پہ جو یوں راہ امتحاں مہکے
یہ کس کے نام کی خوشبو ہے میرے شعروں میں
نفس نفس ہے معطر مشام جاں مہکے
چمن بدوش وہ آئے مرے تصور میں
مرے خیال و معانی کا کل جہاں مہکے
یہ کس نے رخت سفر باندھنے کی ٹھانی ہے
زمین وجد میں ہے اور آسماں مہکے
جنہوں نے راہ صداقت میں اپنی جانیں دیں
پڑھو جو داستاں ان کی تو داستاں مہکے
kabhi shafaq to kabhi gul kabhi janan mahke
tumhare naqsh-e-qadam bhi kahan kahan mahke
koi amin sadaqat idhar se guzra hai
qadam qadam pe jo yun rah imtihan mahke
ye kis ke nam ki khushbu hai mere sheron mein
nafas nafas hai muattar masham-e-jan mahke
chaman badosh wo ae mire tasawwur mein
mire khayal-o-maani ka kal jahan mahke
ye kis ne rakht-e-safar bandhne ki thani hai
zamin-e-wajd mein hai aur asman mahke
jinhon ne rah sadaqat main apni janen den
parho jo dastan un ki to dastan mahke