نور پیہم سفر میں رہتا ہے
Aalam Nizami (b. 1984)نور پیہم سفر میں رہتا ہے
اس کا چہرا نظر میں رہتا ہے
اس سے منزل کی عظمتیں پوچھو
جو مسلسل سفر میں رہتا ہے
پائے نازک سنبھال کر رکھنا
دل تری رہگزر میں رہتا ہے
مجھ میں خامی تلاشنے والے
عیب تو ہر بشر میں رہتا ہے
خیریت پوچھی شکریہ ورنہ
کون کس کی خبر میں رہتا ہے
فائدہ کیا لہو جلانے سے
جب اندھیرا ہی گھر میں رہتا ہے
کیا کروں لے کے اس حویلی کو
میرا ماضی کھنڈر میں رہتا ہے
وہ بلندی کو چھو نہیں سکتا
جو اگر اور مگر میں رہتا ہے
nur-e-paiham safar mein rahta hai
us ka chehra nazar mein rahta hai
us se manzil ki azmaten puchho
jo musalsal safar mein rahta hai
pae nazuk sambhal kar rakhna
dil tiri rahguzar mein rahta hai
mujh mein khami talashne wale
aib to har bashar mein rahta hai
khairiyat puchhi shukriya warna
kaun kis ki khabar mein rahta hai
faida kya lahu jalane se
jab andhera hi ghar mein rahta hai
kya karun le ke is haweli ko
mera mazi khandar mein rahta hai
wo bulandi ko chhu nahin sakta
jo agar aur magar main rahta hai