چاہتا جو بھی ہے وہ کہہ کے گزر جاتا ہے
Aalam Nizami (b. 1984)چاہتا جو بھی ہے وہ کہہ کے گزر جاتا ہے
دل حساس اس احساس سے مر جاتا ہے
ذہن میں بات بزرگوں کی تبھی بیٹھتی ہے
جب جوانی کا نشہ سر سے اتر جاتا ہے
جب انا میری ضرورت کا گلا گھونٹتی ہے
رنگ خود داری کے چہرے کا نکھر جاتا ہے
ڈسنے لگتی ہے مری خانہ بدوشی مجھ کو
جب کوئی پنچھی کبھی شام کو گھر جاتا ہے
جھوٹی تعریف سے ہوتی ہے مسرت اس کو
آئنہ کوئی دکھا دے تو بپھر جاتا ہے
جرم کرتا ہے کوئی اور یہاں پر عالمؔ
اور الزام کسی اور کے سر جاتا ہے
chahta jo bhi hai wo kah ke guzar jata hai
dil-e-hassas is ehsas se mar jata hai
zehn mein bat buzurgon ki tabhi baithti hai
jab jawani ka nasha sar se utar jata hai
jab ana meri zarurat ka gila ghontti hai
rang-e-khud dari ke chehre ka nikhar jata hai
dasne lagti hai miri khana badoshi mujh ko
jab koi panchhi kabhi sham ko ghar jata hai
jhuti taarif se hoti hai masarrat us ko
aina koi dikha de to biphar jata hai
jurm karta hai koi aur yahan par alam
aur ilzam kisi aur ke sar jata hai