تجھ سے ہرگز بھی عداوت میں نہیں کر سکتا
Nadeem Asghar (b. 1980)تجھ سے ہرگز بھی عداوت میں نہیں کر سکتا
اب کسی اور کی چاہت میں نہیں کر سکتا
پڑھ چکا حد سے زیادہ میں نمازیں دکھ کی
اس سے بڑھ کر تو عبادت میں نہیں کر سکتا
دل کو بت خانہ بنا کر میں تجھے سجدے کروں
اپنے رب سے یہ بغاوت میں نہیں کر سکتا
چپے چپے پہ ہوں تحریر قیام اور سجود
یا خدا اتنی ریاضت میں نہیں کر سکتا
تو تو اس وقت کا منصور ہے اب میرے ندیمؔ
تیری باتوں کی حمایت میں نہیں کر سکتا
tujh se hargiz bhi adawat mein nahin kar sakta
ab kisi aur ki chahat mein nahin kar sakta
parh chuka had se ziyada mein namazen dukh ki
is se barh kar to ibadat mein nahin kar sakta
dil ko but khana bana kar main tujhe sajde karun
apne rab se ye baghawat mein nahin kar sakta
chape chape pe hun tahrir qayam aur sujud
ya khuda itni riyazat mein nahin kar sakta
tu to is waqt ka mansur hai ab mere nadim
teri baton ki himayat mein nahin kar sakta