کمال ذوق سجدہ اس سے بڑھ کر اور کیا ہوگا
Om Prakash Laghar (b. 1924)کمال ذوق سجدہ اس سے بڑھ کر اور کیا ہوگا
وہیں وہ نقش پا ابھرا جہاں رکھ دی جبیں میں نے
میں ہر اک اجنبی کو دیکھ کر محسوس کرتا ہوں
کہ شاید اس کو دیکھا ہے کبھی پہلے کہیں میں نے
بشر کا ہے بشر دشمن یہ کیسا دور ہے یارو
محبت کا چلن بالکل نہیں دیکھا کہیں میں نے
مری اک مسکراہٹ پر یہ دنیا کیوں بگڑتی ہے
کہ مدت تک بہت آنسو بہائے ہیں یہیں میں نے
چمن میں ہر طرف زاغ و زغن کا راج ہے لاغرؔ
چمن میں قمری و بلبل نہیں دیکھی کہیں میں نے
kamal-e-zauq-e-sajda is se barh kar aur kya hoga
wahin wo naqsh-e-pa ubhra jahan rakh di jabin main ne
main har ik ajnabi ko dekh kar mahsus karta hun
ke shayad us ko dekha hai kabhi pahle kahin main ne
bashar ka hai bashar dushman ye kaisa dur hai yaro
mohabbat ka chalan bilkul nahin dekha kahin main ne
miri ik muskurahat par ye duniya kyun bigarti hai
ke muddat tak bahut ansu bahae hain yahin main ne
chaman mein har taraf zagh-o-zaghan ka raj hai laghar
chaman mein qamari-o-bulbul nahin dekhi kahin main ne