سوال کرتی ہوئی رات کے علاوہ ہے
Danish Hayat (b. 1994)سوال کرتی ہوئی رات کے علاوہ ہے
کہ مجھ میں کوئی مری ذات کے علاوہ ہے
یہ اشک اور کسی عشق کی کرامت ہیں
یہ مات اور کسی مات کے علاوہ ہے
یہ کون کن کی حقیقت بتا رہا ہے مجھے
یہ کس کا ہاتھ مناجات کے علاوہ ہے
مجھے خبر ہے کہ گردش میں ہیں یہ کون و مکاں
مگر یہاں کوئی دن رات کے علاوہ ہے
یہ آس پاس کا سارا علاقہ ہے گھائل
کہ دل کا خطہ مضافات کے علاوہ ہے
یہ اندروں کی چمک ہے کہ ہے ید بیضا
کہ اس میں جو ہے کرامات کے علاوہ ہے
sawal karti hui rat ke alawa hai
ke mujh mein koi miri zat ke alawa hai
ye ashk aur kisi ishq ki karamat hain
ye mat aur kisi mat ke alawa hai
ye kaun kin ki haqiqat bata raha hai mujhe
ye kis ka hath munajat ke alawa hai
mujhe khabar hai ke gardish mein hain ye kaun-o-makan
magar yahan koi din rat ke alawa hai
ye as pas ka sara ilaqa hai ghayal
ke dil ka khitta muzafat ke alawa hai
ye andarun ki chamak hai ke hai yad-e-baiza
ke is mein jo hai karamat ke alawa hai