ایک دھوکہ ہے دل کشی کیا ہے
Raees Akhtar (b. 1935)ایک دھوکہ ہے دل کشی کیا ہے
ہم سمجھتے ہیں دوستی کیا ہے
آنسوؤں کی ہو اور عمر دراز
چاند تاروں کی روشنی کیا ہے
حسن کی اک نگاہ جاں پرور
عشق کی اور زندگی کیا ہے
ہم نے دیکھا ہے بھیگی پلکوں کو
آپ کیا جانیں تشنگی کیا ہے
روٹھنا اک ادا تو ہے لیکن
یہ ہمیشہ کی برہمی کیا ہے
دل کو نسبت ہے ان کے دل سے رئیسؔ
جذب الفت میں اب کمی کیا ہے
ek dhoka hai dil kashi kya hai
ham samajhte hain dosti kya hai
ansuon ki ho aur umr-e-daraz
chand taron ki raushni kya hai
husn ki ik nigah jan parwar
ishq ki aur zindagi kya hai
ham ne dekha hai bhigi palkon ko
ap kya janen tishnagi kya hai
ruthna ik ada to hai lekin
ye hamesha ki barhami kya hai
dil ko nisbat hai un ke dil se rais
jazb-e-ulfat mein ab kami kya hai